Kya Behtar Ye Nhi Ki Aj Me Jia Jae?

To kya ho jo vakt k bad dosto ki dosti fiki pd ne lge

To kya ho jo vakt k sath rishton k mayne bdlne lge

To kya ho jo behtar milne k bad behtreen ki chahat hone lge

To kya ho jo ek roj uthne k bad aas pass k rang fike lgne lge

To kya ho jo ek umr k bad bheed ki bjay akelapan bhane lge

To kya ho jo bhagte bhagte kisi din zindagi me thehr jane ki iccha ho

To kya ho jo kamyabi milne ke bad kamyabi kamyabi hi na lge

To kya ho jo jindagi me forever k mayne bdlne lge,

To kya behtar ye nhi ki har dosti, rishte ko usi waqt tk achay se nibha liya jae jitna uska jeevan ho

To kya behtar ye nhi ki kbhi kbhi man pasand chij na milne pr b uski mrji keh k taal diya jae

To kya behtar ye nhi hoga ki us bheed ka hissa hi na bna jae jo ek din sath chhor hi degi

To kya behtar ye nhi hoga har dfa bhagte hue kuj pal k liye ruk jaya jae

To kya behtar ye nhi jo kamyabi ko koi definition hi na di jae

Kya behtar ye smjna ni hoga ki forever ke liye to insaan bna hi nhi h

To kya behtar ye nhi ki kal ki fikr chhor aj me jiya jae

Kya behtar ye nhi ki aj me jia jae

Kya Behtar Ye Nhi Ki Aj Me Jia Jae by Himani Jawa
Kya Behtar Ye Nhi Ki Aj Me Jia Jae by Himani Jawa

1 thought on “Kya Behtar Ye Nhi Ki Aj Me Jia Jae?”

Leave a Comment